Ad

Mobile Buy Kase Krain Or Mobile Check Kase Krain Hindi

Hello Friends
Aj main ap ko btaon ga ke agar ap koi mobile buy krna chahte hain to ap ko kin baton ko apne zehan main rakh kar mobile ko buy krna he
or mobile ka kya kuch check krna hota he
..................................................................................................................................
mobile buy,mobile buy
mobile buy
sab se pehle ap ne mobile ka processor chack kar lena he
agar ap ko nahi pata ke processor kya kam krta he to bhaia mobile main ap jo koi bhi kaam karty ho wo sab kuch us processor ke thro se ho raha he
dunia main buhat sari compnia hain jo processor bnati hain un main se 3 compnia esi hain jo ke ap ko baar baar sunne ko milain gi

  1. Qualcomm snapdragon
  2. MediaTek Helio P700
  3. Samsung Exynos7

ye 3 compnia buhat mashoor hain agar in cumpnion main se koi processer mita he to sab se acha he
agar ap processor ke andar dekho ge or bhi chezain hoti hain koi bolta he DUAL CORE he koi bolta he QUAD CORE he
Mobile Buy bhai ye core kya hota he?
agar is core ko main simple trke se samjhaon to maan lo agar aik admi do bargar khay to zahir si baat he wo dono bargar ko aktha to nahi kha sakta wo time zyada lagay ga
or agar do admi akathe ho jain to dono bargar ko aik saath kha sakte hain
isi tarha processor ke core ke hisab se step badhte hain jitna core zyada ho ga utna hi fast kaam kare ga

 Mobile Buy Battery Kese Chack Karain?

ap ne buhat suna ho ga 3000mah 4000mah to bhaia ye MAH ka kya matlab he?
MAH ka full form hota he Milli Ampere Hour(mah) 
agar ap mobile pe koi bhari kaam karte ho youtube chala rahe ho ya phir koi wifi week signal wali use kar rahe ho to ese main battery 3000mah wali 3 ghanty main low ho jay gi main to ap ko kahon ga ke aj ke dore main battery 3000mah se to zyada he hona chahay

Mobile Buy RAM Kya Hoti He Kitni Lerni Chahiay?

RAM ka full form (Random Access Memory) he jab ham kisi bhi file ko open kar ke hom kar dete hain or bhi buhat sari filain khol lete hain to jab ham wapis se un filon ko wahin se open krna chahte hain to RAM hamain wahi se khuli file deti he
jab ap RAM dekhon to sath main processor ka bhi khaas dhean rakho agar RAM badi he or processor hi bacha sa he to badi RAM ka to koi fayda nahi he

Mobile Buy Screen Kon Si Hona Chaiay?

ap ne buhat suna ho ga ke buhat se mobile kam damig hote hain or is ki waja kya he?
Mobile Buy
is ki waja he gorilla glass ap soch rahe hon ge ke bhai ye gorilla glass kya he
aik compni he (Corning inc) ke naam se ye compni 2005 se ye hi kaam kar rahi thi ke koi esi screen bnain ke jo screch kam ho or thoda buhat girne se screen damig na ho
2005 main inhon ne gorilla glass1 bnaya jo ke apple ke phone main aaya or phir inhon ne socha ke buhat mota glaas bana he kio na is ko smart bna dia jaay us ke baad inhon ne gorilla glass2 bnaya is ka jo kaam tha gorilla glass1 jitna hi tha or smart tha bas
Mobile Buy
us ke baad inho ne gorilla glass3 bnaya or phir gorilla glass4 bnaya or phir gorilla glass5 bnaya ye sab se acha or hard he is ke baad ab tak to koi gorilla glass nahi aaya he laikin ye buhat hard or acha hota he zyada koshish karain ke jo mobile ap buy kar rahe ho us main gorilla glass hona chahiey

ye mat sochain ke bhai agar gorilla glass he to main is ko jese bhi phenkon ga to ye toote ga nahi to ap galat soch rahe hain bhai tooty ga to sai laikin jo ham se daliy basic se galtian ho jati hain un se bachao kare ga

Mobile Buy Sab SE Jarori Baat

Mobile Buy jab ap koi usd mobile buy karo to us ki shorting ki woranty le lo kion ke ajkal buhat se mobile market main shorting ke problme se pade hoty hain or shop wala koi bhi ap ko nahi btay ga
2osry baat ap ne mobile ko reset kar ke chack kar lena he kya us ka ham ko har baar bypaas karwana pade ga ya phir nahi agar wo mobile bypaas karwa ke chalta he to wo mobile buy na karain kio ke jab bhi koi problem bnae ap reset nahi kar paao ge agar ap ko bypaas krna aata he to zroor buy kar lain

Shukria agar ap ko Mobile Buykarne se related kuch fayda hua he to is article ko apne doston ke sath lazmi se shere karain or agar ap ka koi sawal he mobile buy karne se releted to neche comment karain main aap ka jawab jaroor doon ga
(Thenks 4 You)

Post a Comment

2 Comments

  1. They ask their companions sentiments, read client audits and shopper reports, watch recordings and the rundown of actuality discovering research techniques goes on rtb ad network

    ReplyDelete