Google Adsense Personal Identification Number
Hello Freinds
Aaj ham log bat krain ge Google ki pin na milne se related
agar ap ko Google Adsense ka pin nahi mil raha hai to ap ko pin ke baghair kesy apna address verify krna chahiay?
Google Adsense Personal Identification Number Hindi Urdu |
Google Adsense Ko Pin Ke Bagher Kab Verify Krain?
ye buhat badi probleb hai ik new blogger ya youtuber ke liay aj main insha allah ye problem ka hal ap ko btaon ga bas article ko mukamal read kar lainsab se pehle jab ap ke Google Adsense Account main $10 pluss ho jate hain to Google Adsense Khud hi ap ka pin generate kar ke ap ke diay hoay Address pe sand kar deta hai agr ap ka Address bilkul thek hai to 2 se 4 week main Google Adsense ka pin ap ko mil jay ga
agar kisi bhi wajha se Google Adsense ka pin 2 se 4 week main ap ko nahi mil saka to us ke bad ap ke account main dobara pin ko generate krne ka option aay ga
is bar ap khud apna pin generate krain ge sath main apna address bhi set karin ge or ap ko dubara se 2 se 4 week ka intazar krna pade ga
or agar phir bhi ap ka pin nahi aata hai to phir ap aakhri baar pin generate karain ge
or sath hi ik option khule ga jis main likha ho ga
agar ap ko pin nahi mil raha hai to ap apne identity Card se ya phir apne ghar ke bijli ke bill se ya phir Bank Statement se
in documents main se ap ke paas koi bhi document hai to ap photo shoot kar ke Google Adsense ko sand kar dain is ke bad ap ko Google Adsense ki taraf se ik Gmail aay ga ke ap ka address verify ho gya hai...
is ke bawjod notification remove nahi ho ga
or ap ka account 24 ghanton main verify ho jay ga phir ye notification bhi remove ho jay ga jo ap ke Google Adsense main front pe aaya hoa hai
How Does Google Adwords Work English
Last Words
agar ap ko ye article helpfull sabit hua hai to share lazmi krain or agar ab bhi ap ka koi sawal hai Google Adsense Personal Identification Number se related to neche comment krain main ap ka jawab lazmi don ga
0 Comments