Ad

DNS Protocol Kya Hai? Hindi Urdu

DNS Protocol Kya Hai? Hindi Urdu


Hello Friends
Pehle bhi Ham ne DNS Protocol se related ik full article likha tha but wo article English main tha is liay hmare bhaion ko read krne main problem paish aati thi
is bat ko letay hoay aj ham ap ko btain ge DNS Protocol kya hai or DNS Protocol kya kaam krta hai
kia DNS Protocol hmare computer main bhi hota hai?
in sabhi sawalon ka jawab aj ke is article main ap ko provide krain ge

DNS Protocol Kya Hai? Hindi Urdu,DNS Protocol Kya Hai? Hindi Urdu



DNS Protocol Kya Hai?

DNS ka full form (Domain Name System) hai
jab bhi ham koi website search krte hain to hmari search sedha DNS ke paas jati hai us website ki IP Address lyne ke liay

internet ko ya phir hmare computer ko nahi pata hai ke Google.com kya hai or WaseemTech1.com kya hai ye sab kaam IP Address ke ziriay chalta hai 

or wo IP Address ko DNS khud main update kar ke rakhta hai is tarha DNS ne khud ka Protocol bna ke rakha hai

agar ham WaseemTech1.com Search krte hain to hmari search WaseemTech1.com ki IP Address dhondne ke liay DNS Protocol ke paas jay gi wahan se IP Address hasil krne ke bad optic fibre cable ke thro WaseemTech1.com ke server tak ja ke
hmari search WaseemTech1.com ke Server se la ke Data Provide kar de gi

Kya DNS Protocol Hmare Computer Main Bhi Hota Hai?

friends jab aap kisi website ko search krte ho bhat sari website mukamal search ho jati hain laikin kuch website hoti hain search nahi hoti laikin ap ko aesa Error dikhaya jata hai
DNS Not Found Error
is ka saaf matlab hai ke DNS ko is website ki IP Address kahi se bhi nihi mil rahi
is problem ko thek krne ke liay DNS Protocol ko ik Local IP Address dain

Local IP Address Kahan Se Mile Ga?

ap jis bhi company ka internet use krte hain wo sabhi companies apni local IP Address provide krte hain laikin ap ke liay behtar ye hai

Google bhi apni ik Local IP Address Provide krta hai ap ko chahiy ke wo IP Address ko apne DNS Protocol main Add kar lain

Local IP Address Ko Add Kesy Krna hai yahan click kar ke treqa sekhain

Local IP Address Kya Hai?

agar hamari search ko kisi website ki IP Address DNS Protocol se nahi milti hai DNS Protocol kya krta hai
agar ap ne local IP Address pehle se Add ki hui ho gi to local IP Address us website ki IP Address ko dhondne main DNS Protocol ki help kre gi

agar ap ne local IP Address Add nahi ki ho gi to DNS Protocol ke paas or koi bhi option nahi hota kisi bhi website ki IP Address ko dhondne ka
phir ap ko DNS Not Found Error dikhaya jata hai

Related post

Last Word

agar ap ko hmara ye article helpful sabit hua hai to share lazmi krain or agar ab bhi ap ka koi sawal hai DNS Protocol se related to neche comment krain main ap ka jawab lazmi don ga

I Hope You Like This My Article Thank You

Post a Comment

0 Comments