Ad

How To Rank Fiverr GIG On First Page Hindi

How To Rank Fiverr GIG On First Page 

hello friends aaj Ham aapko bataenge Fiverr ki Gig ko kaise rank Kiya jata hai
bahut jyada experiment karne ke bad aaj aapke samne Fiverr ki Gig ko rank karne ka formula batane aaye Hain
agar aap is formula ko follow karte Hain To aap Fiverr ki Gig ko rank karke bahut se order complete kar sakte ho
  Hi, guys, this is Waseem so let's go to WaseemTech1 latest technique


How To Rank Fiverr GIG On First Page Hindi
How To Rank Fiverr GIG On First Page Hindi

How To Rank Fiverr GIG On First Page?

Fiverr ki gig ko optimize karne ke liye sabse behtarin roll Ada karte Hain low competition keyword kisi bhi gig ko lagane se pahle ache tarike se low competition keywords researching kar leni hai

Aapke keyboard ka competition jitna bhi low hoga utne hi jyada chances hain Fiverr ki gig rank hone ke humne bhi yahi formula apni gigs mein apply kiya hai aap dekh sakte hain is video mein ke

hamari gig Kaise first page per rank kar Rahi Hain ye mukammal formula aaj is video mein aur is article main ap ko bataya gaya hai

Jo keyword Fiverr mein researching kar ke nikala hai use keyword ko apne title mein Lazmi add Karen

Jo picture Gig per lagane ke liye edit ki hai us picture ko edit karte waqt bhi apna main keyword add Karen aur uske rename per bhi keyword ko add Karen

agar koi video apne Gig mein add karni hai to us video ko edit karte waqt l aur Renay rakhte waqt bhi apne main keyword ko istemal Karen

Fiverr gig ki description mein jitna jyada ho sake apna main keyword lazmi add Karen
Aur jab aap package create karne Lago Vahan per bhi apne keyword ko add Karen


Fiverr ki profile ko kaise rank karte Hain?

Fiverr ki profile ko rank karne ke liye aapki sari Gigs aik jaisi hone chahie agar aapki services different kism ki lagi hongi to customers satisfy nahin hota customer sochta hai ki yah professional aadami nahin hai isko Jo kam Mile vahi kar leta hai
 ye kisi bhi ek kaam mein expert nahin hai

Isliye main aapko yahi suggest karunga ki aap kisi ek kam mein expert bane aur use kam ki service aap Fiverr per den or Fiverr bhi aap aapki profile ko rank karta hai aur aapke profile ko jyada se jyada client ke samne show karta hai

agar aapki services different kisam ki hongi to Fiverr bhi nahin chahe ga ki aap kisi ko service provide kro kyunki yah Fiverr ko bhi pata hai ki professional profile kon si hai aur all mix profile kon si hai

yah sab kuch dekhne ke bad hi Fiverr faisla karta hai kon si profile ko rank karna hai aur kon si profile ko down karna hai


Fiverr Gig ki sharing kaise karen?

jab aap Fiverr gig ko publish karne lage usi waqt apne social media accounts per sharing start kar den Facebook Twitter Instagram LinkedIn Pinterest WhatsApp vagaira or jitne bhi aapke social media account hai sabhi per sharing karain

Gig ke link ko copy karne ke bad apni category se related websites per jain, for example, aapke Gig SEO se related hai ap SEO ki service provide karte Hain To seo wale article par jaane ke bad sabse niche comment Karen aur apni Gig ka link vahan per pest Karen

matlab apni Gig ke backlinks banaen aur vahan se aapko organic traffic bhi milega aur aap ke gig ke backlinks banenge is se aapke gig buhat jaldi rank hogi


Last word

agar aapko hamara ye article helpful sabit hua hai to please isko share lazmi Karen aur agar ab bhi aapka koi sawal hai How To Rank Fiverr GIG On First Page se related to niche comment Karen main aap ka reply jarur karunga
I hope you like this my article thank you

Post a Comment

0 Comments