Ad

Internet Kya Hai Hamari Search Kahan Se Kahan Tak Connection Bnaty He Hindi And U

Hello Friends

Aj ham bat karain ge ke internet kam kese karta he
or jo ham searching krte hain wo search khan se kahan tak jaa kar hmara connection bna deti hain
agar ap mukammal janna chahty hain to mukamal padhain kion ke ap ko mukamal samaj aa jay

Internet Kya Hai Hamari Search Kahan Se Kahan Tak Ghomti He Hindi And Urdu
connection

Jab Ham Search Karte Hain To Sab Se Pehle Kahan Jati He

Jab Ham Search Karte Hain To Sab Se Pehle hmare server se DNS tak
DNS ka full form domain name system he jo domain ham search karte hain 
us domain ki IP Address DNS se pata lagati he
phir wo IP Address ko hmare ISP tak le jati he or hmara ISP us domain ko optical fiber cable se us domain ke main server tak le jata he 
or phir wahan se hmari search ham tak wapis aati he or ham kaam kar paate hain


DNS Kya He

DNS ka full form domain name system he DNS ka kaam siraf  sabhi website ki domain name se IP Address provide krna hota he
ap ne kai baar dekha ho ga jab ap apna server chang krte ho to kuch der ke liay ap ki website band ho jati he laikin kabhi ap ne socha he ke aesa kio hota he
jab ap website ka server change karte ho tab wo DNS ap ke new server ki IP Address ko Update kar raha hota he
jab ap ke new server ki ip us ko mil jati he tab ap ki website open hona start ho jati he
\

ISP Kya He

ISP ka full form Internet service provider he jo ham ko Internet service provide krta he jesa ke hmare pakistan main ptcl ho gya ya phir sim wale ISP wghera wghera buhat sare ISP hain hmare Pakistan main 
  

Post a Comment

0 Comments