Ad

Best Advanced Technical Seo Course Tips You Will Read This Year

Best Advanced Technical Seo Course Tips You Will Read This Year

Hello friends aaj Ham aapko bataenge Technical Seo Kya hota hai agar aap apni website per Technical Seo nahin karte Hain To aap ki website Google ke first page par kabhi nahin a sakti 4example Agar aapko btaon to Content ke alava Jo SEO Kiya jata hai usko Technical Seo kaha jata hai mazeed detail ke liye is article ko padhen aur last mein Di Gai video ko lazmi dekhen aapko samajh mein aa jaega Technical Seo kya hota hai
Best Advanced Technical Seo Course Tips You Will Read This Year

Technical SEO kya Hota hai?


Technical Seo ko samajhne ke liye Ham aap ko shopping mall ki misaal samjhate Hain maan Lijiye aap ne shopping mall banaya hai Use Shopping Mall mein traffic laane ke liye aapko advertising karni padati hai aur shopping mall ke Raste ko saaf karna padta hai agar Kisi kisam Ki customer ke liye Pareshani banti hai to use Pareshan ko khatm karna padta hai is shopping mall Ko Agar Ham compare karte hain website se to Hamari website Mein jitne bhi broken llinks hain unko hatana padta hai Kyunki user Ko Hamari website Tak aane ke liye Kisi bhi Kisam ki tangi Na Ho


Agar user Ko Kisi kisam ka koi pareshani ka Samna karna Pade ga to wo apki website Ko Chhod Jaega Aur Kisi Aur website par redirect ho jaega

is chij ko Technical Seo Kahate Hain


Ke Hamari website par koi bhi Bug ya FIR issue aata hai 

To Ham use issues ko not Karen and apni website se remove Karen Iske alava Technical Seo mein bahut Kuchh aata hai dekh lete hain kya Kuchh Technical Seo Mein Aata Hai


Technical SEO Main Kya Kuchh Hota Hai?


(Step 1) Aapka Domain name searchable Hona chahie agar aap apni company ke liye blog ya FIR website banana Chahte Hain To aapki company ka naam bhi chalega koshish karen koi aisa keyword search Karen Jiska search volume high-level par ho aur Jyada Se Jyada search Kiya Jata Ho Aisa keyword dhund kar uske sath dot com ki extension add Karen and aapko domain rating ka Acha response Dekhne ko Ho milega


(Step 2) Pagespeed ko Lekar Google bahut Hoshiyar hai agar aapki Website ki page speed kam rahti hai to Google aapke website ko kabhi bhi rank nahin Karta hai aapko chahie apni website ya fir blog ki page speed ko Jyada Se Jyada Optimise Karke rakhen agar aap check karna chahte hain page speed ko to aapko Google ka toll Milta Hai Jiska Naam Hai PageSpeed Is tool ki madad se aap check kar sakte ho ki aap ki website ki pagespeed kya chal rahi hai agar aap WordPress use karte hain to uski page seed ko increase karne ke liye bahut Sare plugin mil Jaate Hain For example 

  • WP rocket

  • WP super cache

  • WP fastest cache

  • Smush

  • lightspeed catch

  • Autoptimise

  • critical CSS

  • Short  pixel

ya FIR Aur Bhi bahut Sare plugin mil Jaate Hain wordpress ki pagespeed ko increase karne ke liye


(Step 3) Iske bad site architecture  per bhi Dhyan dijiye architecture Ka matlab hai ki aapki website ka design bahut Easy ho aur Dekhne Mein bahut Khubsurat design Ho

aapki website ka Navigation Is Tarah Ka easy Ho ke Google ke crawlers ko crawl karne mein aasani ho


(Step 4) Uske bad a Jata Hai SSL certificate Agar aapki website Mein SSL certificate Nahin hoga to Google aapki website ko secure Nahin manega isliye aapke website Ko Jab secure Nahin Dekha Jaega To aapke website ko rank Kabhi nahin kiya jaega User and Google Yahi kehta Hai Ki yah website secure Kyon Nahin Hai

lihaza is website Se Dur raha Jaaye Jab aap ki website http khulti Hai To aapki website ko Khatre ki Najar Se Dekha jata hai aur jab aapke website https mein khulati hai to aapki ko secure Mana jata hai

Agar aapke website mein  SSL certificate active Nahin Hai To bahut hosting company free SSL certificate deti Hain

vahan se bhi aap active kar sakte ho

aur jab aap free mein cloud flare apni website Mein add karte hain vahan se bhi aapko free mein SSL certificate Mil Jata Hai

Our agar aap blogger use karte hain to blogger main bhi aapko free mein SSL certificate Mil Jata Hai


(Step 5) 404 error ko apni website mein Na rakhen Agar aapke website mein 15 se 20 pages Hain To aapke website mein 404 error hone ke chances bahut kam rahte hain


Agar aapke website Mein 200 ya FIR 300 pages Hain To aapke website main 404 error hone ke chances Jyada ho jate hain


404 error wale links ho redirect Karen Apne home page per ya FIR Kisi bhi Tarah 404 error ko apni website se khatm kar de


ab Jante Hain 404 error Kis Tarah Se aata hai

ab maan Lijiye Ke aapane Aaj Ek article likha kal aapko Pata Chala Ki wo article theek Nahin Hai to aap ne wo article delete kar diya ab Jiske pass aap ne use article ka link share Kiya Hoga wo use link per click Karega to Uske Samne 404 ka error show Hota Hai

to Google is chij ko Achcha Nahin samajhta hai aur aapki website ko ranking Mein down kar deta hai


(Step 6) Agar aap ki website Mein broken links maujud Hain To jaldi Karen apni website se broken links ko Hata Den Google is chij ko bhi bahut serious manta hai ki  Agar aapke website Mein broken link maujud Honge to Google aapke website ko kabhi bhi Rank nahin karta hai

yah Bhi Ek bahut bada reason hai website ke rank na hone ka


 broken links ko kaise finde karna hai agar aapko Nahin pata

to aap Google mein search Kijiye broken links finder to aapke Samne bahut se tool show Honge

aap Kisi bhi tool ke link per click kareain ge or Apne website ka link add Karenge aur vahan se ap ki website ke andar jitne bhi broken links hon ge aapke Samne us tool ki madad Se show Ho jaenge


Robot txt and XML-sitemap

(Step 7) robot txt ap ki website ke liye bahut hi jyada important Hota Hai  robot txt file ki madad se ham Google ke crawler ko Permission Dete Hain


Ki Hamari website ke kon se pages ko index Kare aur kon se pages ko index na Kare Kyunki robot txt file ki madad Se Hi Google ke crawlers aapke page Mein crawling karne ke liye aa sakte hain


Uske bad XML-sitemap Agar aapke Google search console mein XML-sitemap add Nahin Hoga to Google ko kabhi bhi pata nahin chalega ke aapki website mein kaun sa content pada hai

aur kon sa content Nahin Hai XML-sitemap Ko generate Karke laazmi se Google search console ke andar Add Karen aur apne articles ko Google mein index karvayen is se aapke website ke article ya fir page bahut jald aur easily crawl Ho Jaate Hain


Tu Is Tarah Se aap apni website ke andar ye Sabhi point implement Karke apni website Technical Seo se strong banaa sakte hain


agar AAP Hmare yah Sabhi Technical Seo Ke points Apne blog ya fir website main implement karte hain

To aap ka blog rank hone ke buhat chances badh jate hain

To aap ki website Google ke fast page par rank Hogi in Sabhi points ko note karne Kisi NotePaid per ya FIR Hamare article ko Dobara se read Karen AAP jab tak in points ko apni website main implement Karenge to InshAllah aapki website rank Hogi



Last Word

Agar aapko Hamara ye article helpful sabit hua hai to please isko share Lazmi Karen aur Agar Ab Bhi aapka koi question hai Technical SEO se related to niche comment Karen main aapka reply Jarur Karunga I hope you like this my article thank you

Post a Comment

3 Comments

  1. It’s a classic great for me to go to this blog site, it offers helpful suggestions
    web design San Francisco

    ReplyDelete
  2. thanks sir your site is good i will share it my personal blog
    https://www.motivatedstory.com/

    ReplyDelete
  3. Access Your House Of Borse Review Trading Account Information. View Positions, Recent Trades, Securities Held, And More. Make Trades, Fund And Withdraw. Update Your Profile. Request Portfolio Analysis.

    ReplyDelete